Hamesha Kab Rehti - Anuj Kapadia Shayari Image
Hamesha Kab Rehti Hain - Anuj Kapadia Shayari In English
Hamesha Kab Rehti Hain Yaar Ye Jawaniyaan,
Umar Jab Guzarti To Chodti Nishaniyaan,
Aankhon Mein Ho Samajh, Or Zulfon Mein Ho Chandani,
Mushkil Hai Umar Yaar, Dori Se Bandhani,
To Baandh Mat Behe Zara Kyuki Behne Mein Husan Hai,
Tu Jaisi Hai Vaise Rehne Mein, Husan Hai,
Umar Ke Har Saalon Mein, Kuch Safed Se Baalon Mein,
Uljhi Na Rehna Tum, Waqt Ke In Sawaalon Mein,
Sawaal Kuch Bhi Ho Sanam, Tu To Lajawaab Hai,
Tu Kal Bhi Mera Khawaab Thi, Tu Aaj Bhi Mera Khawaab Hai.
Hamesha Kab Rehti Hain - Anuj Kapadia Shayari In Hindi
हमेशा कब रहती हैं यार ये जवानियाँ,
उम्र जब गुज़रती हैं छोड़ती निशानियां,
आँखों में हो समझ, और ज़ुल्फ़ों में हो चांदनी,
मुश्किल है उम्र यार, डोरी से बांधनी,
तो बाँध मत बहे ज़रा, क्योंकि बहने में हुसैन है,
तू जैसी है वैसी रहने में हुसैन है,
उम्र के हर सालों में, कुछ सफ़ेद से बालों में,
उलझी न रहना तुम, वक़्त के इन सवालों में,
सवाल कुछ भी हो सनम, तू तो लाजवाब है,
तू कल भी मेरा खवाब थी, तू आज भी मेरा खवाब है।